HDFC Bank Scholarship: HDFC Bank kaksha 1 se lekar college tak padhne wale sabhi chhatron ko 75,000 rupaye scholarship dega.

HDFC Bank Parivartan Scholarship ka notification jari kar diya gaya hai. Is yojana ke tahat bank dwara kaksha 1 se lekar 12vi kaksha, ITI, diploma aur graduate aur post-graduate vidyarthiyon ko 75,000 tak chhatravritti di jayegi. Iske liye aavedan form 4 September tak bhar sakte hain.

HDFC Bank ki taraf se aarthik roop se kamzor parivar ke liye ek shandar yojana shuru ki gayi hai. HDFC Bank Parivartan Scholarship ka notification jari kar diya gaya hai. Iska uddeshya samaj ke vanchit vargon se sambandhit medhavi aur zarooratmand vidyarthiyon ki sahayata karna hai. Is chhatravritti karyakram ke tahat kaksha 1 se 12vi tak ke school students, diploma, ITI, polytechnic, UG aur PG course mein bhag lene wale chhatra aavedan kar sakte hain.

JOBS
Please enable JavaScript in your browser to complete this form.
APPLICANT NAME
JOB TYPE
AGE
EDUCATION

Get Latest Updates Join Us

WhatsApp Telegram

HDFC Bank Parivartan ECSS program ke tahat jo abhyarthi vyaktigat ya parivarik sthiti ya anya kisi vittiya samasyaon ke karan apni padhai aur shiksha ka kharch uthane mein asamarth hain aur jinke padhai chhodne ka khatra rehta hai, unki padhai ke liye 75,000 rupaye tak ki aarthik sahayata pradan ki jati hai. Jo gareeb parivar apne bachchon ko padhne aur course karwane mein saksham nahi hain, unhe aarthik sahayata di jati hai. Iske liye online aavedan form shuru ho gaye hain aur aavedan ki antim tithi 4 September rakhi gayi hai.

HDFC Bank Parivartan Scholarship ki patraata

Aavedan karne wale vidyarthi ki parivarik aay 2.5 lakh rupaye se kam honi chahiye. Abhyarthi ko pichhli kaksha mein nyoonatam 55% ank prapt hona anivaary hai. Un abhyarthiyon ko prathmikta di jayegi jinhone pichhle teen varshon ke dauran vyaktigat ya parivarik sankat ka samna kiya ho, jiske karan ve aage ki padhai ke liye kharch uthane mein asamarth ho aur unki padhai chhodne ka khatra ho.

Iske liye keval Bharatiya nagrik aavedan kar sakte hain. Vidyarthi vartaman mein kaksha 1 se 12vi kaksha mein adhyayanrat hona anivaary hai. Iske alawa diploma, ITI, polytechnic, sathak aur snatakottar pathyakramon mein padh rahe abhyarthiyon ko bhi chhatravritti di jayegi.

HDFC Bank Parivartan Scholarship yojana ka laabh

Kaksha 1 se kaksha 6 tak ke vidyarthiyon ko 15,000 rupaye chhatravritti di jayegi, jabki kaksha 7 se kaksha 12vi aur diploma, ITI, polytechnic chhatron ko 18,000 rupaye ki chhatravritti di jayegi.

Samanya snatak chhatron ke liye 30,000 rupaye aur vyavsayik snatak pathyakram ke chhatron ko 50,000 rupaye chhatravritti di jayegi. Isi tarah samanya post-graduate chhatron ko 35,000 rupaye aur vyavsayik post-graduate chhatron ko 75,000 rupaye chhatravritti di jayegi.

HDFC Bank Parivartan Scholarship avashyak dastavej

  • Passport ke aakar ki tasveer
  • Pichle varsh ki marksheet (2023-24)
  • Pahchaan praman (Aadhaar card/ Voter ID/ Driving license)
  • Chalu varsh ka pravesh praman (Shulk raseed/ Pravesh patra/ Sanstha ID card/ Bonafide praman patra) (2024-25)
  • Aavedak ki bank passbook/ Radd check (Aavedan patra mein bhi jankari darj ki jayegi)
  • Aay praman (nimnlikhit mein se koi ek):
  • Gram panchayat/ Ward counselor/ Sarpanch dwara jari aay praman
  • SDM/ DM/ CO/ Tehsildar dwara jari aay praman
  • Shapath patra
  • Parivarik/ vyaktigat sankat ka praman (yadi lagu ho)

HDFC Bank Parivartan Scholarship aavedan prakriya

Sabse pehle HDFC Bank ECS ki adhikarik website par jana hai. Iske baad scholarship se sambandhit sabhi disha-nirdeshon ko dhyanpoorvak padh lena hai. Uske baad aavedan link par click karna hai.

Abhyarthi ko aavedan form mein poochhi gayi sabhi jankari sahi-sahi bharni hai. Iske baad sabhi avashyak dastavej, passport size photo aur signature upload karne hain. Aavedan form mein sabhi jankari bharne ke baad ise final submit kar dena hai aur iska printout nikal kar bhavishya ke liye surakshit rakh lena hai.

HDFC Bank Scholarship Check

Aavedan Form Table

DescriptionDetails
Aavedan form shuruStart
Aavedan ki antim tithi4 September 2024
Official NotificationDownload Hare
Government Job RecruitmentClick here
Online aavedanApply here

Hello, I'm Anjali singh, and I write blogs for Aiinformers © about Latest Govt Job, Govt Yojana, Privet Jobs. I possess an invaluable resource for anything related to Jobs.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment