Rajasthan BSTC College Allotment Date jari kar di gayi hai. Rajasthan BSTC College Allotment Result 4 August ko jari kiya jayega. Rajasthan BSTC College Allotment Result Date aur samay ki sampoorn jankari yahan di gayi hai.
Rajasthan BSTC Result 17 July ko jari kiya gaya tha. Iske baad Rajasthan BSTC Counseling 20 July se 30 July 2024 tak karwayi gayi hai. Is dauran abhyarthiyon ne counseling shulk 3000 rupaye ka bhugtan kiya hai aur shikshan sansthanon mein pravesh ke liye online vikalp diye hain. Sabhi abhyarthi counseling prakriya samaapt hone ke baad ab counseling result ka intezar kar rahe hain.
Get Latest Updates Join Us
Rajasthan BSTC College Allotment Result Date
Rajasthan BSTC Counseling prakriya samaapt ho gayi hai. Ab vidyarthiyon ko counseling result ka besabri se intezar hai. Vidyarthi yeh janana chahte hain ki unko kaun si college ka allotment hua hai. Aapko bata dein ki Rajasthan BSTC College Allotment 4 August Raviwar ke din jari kiya jayega, jise sabhi abhyarthi BSTC ki adhikarik website par jakar check kar sakenge.
Rajasthan BSTC pratham charan ki counseling ke liye college allotment suchi 4 August ko jari kar di jayegi. Iske baad jin abhyarthiyon ka pratham suchi mein college allotment ho jata hai un abhyarthiyon ko shesh shulk 13,555 rupaye ka online bhugtan 4 August se 11 August 2024 tak karna hoga. Iska bhugtan abhyarthi eMitra, net banking, debit ya credit card evam UPI ke madhyam se kar sakte hain. Iske baad abhyarthiyon ko avantit hui adhyapak shiksha sansthan mein 5 August se 12 August tak swayam upasthit hoke reporting karni hogi.
Abhyarthiyon dwara allot hui college mein reporting karne ke baad sansthan dwara pramanikaran uparant abhyarthiyon dwara swayam ke login se provisional pravesh slip prapt karne ki tithi 5 August se 13 August tak rakhi gayi hai. Rajasthan BSTC counseling mein jin abhyarthiyon ne adhik se adhik college ka chayan kiya hai aur jin ke number acche aaye hain, unhe college milne ke poore chances hain. Iske alawa grameen kshetra ki college mein bhi abhyarthiyon ko allotment hone ke poore chances rehte hain.
Upward Movement ke liye Aavedan Tithi
Jin abhyarthiyon ko pratham counseling ke dauran college pasand nahi aaya hai, ve upward movement ke tahat ise badal sakte hain. Kai vidyarthiyon ka college kaafi door dusre jilon mein aane ke karan ve wahan nahi jana chahte hain, to aap upward movement ke liye apply kar sakte hain. Upward movement ke liye aavedan karne ki tithi 14 August se 16 August tak rakhi gayi hai. Iske baad upward movement result ki ghoshna 19 August ko ki jayegi aur iske baad upward movement ke tahat avantit sansthan mein reporting 20 August se 22 August tak karni hogi.
Rajasthan BSTC ki pratham counseling mein jin abhyarthiyon ka number aa jayega unke liye sansthanon mein kakshaon ka prarambh 22 August se shuru ho jayega. Lekin jin abhyarthiyon ka number pratham list mein nahi aaya hai, unhe fir dusri aur teesri list ka intezar karna hoga. Rajasthan BSTC mein seaton ki sankhya khali rehne par kai baar waiting list jari ki jati hai. Rajasthan BSTC ki pratham list mein samanya varg aur OBC varg ki cut off 410 ank ke aaspaas reh sakti hai, jabki arakshit vargon ki cut off 380 ank ke aaspaas rehne ki sambhavana hai.
राजस्थान बीएसटीसी काउंसलिंग रिजल्ट चेक करने की प्रक्रिया
Sabse pehle Rajasthan Pre D.El.Ed ki adhikarik website par jana hoga. Iske baad home page par college allotment ke link par click karna hoga. Iske baad aapko apna counseling number, roll number evam poochhi gayi jankari bhar kar submit par click karna hai, jisse aapke samne college allotment result screen par khul jayega. Phir aap isme check kar sakte hain ki aapko kaun si college allot ki gayi hai aur iska printout nikal sakte hain.
BSTC College Allotment Date Check
Rajasthan BSTC College Allotment Result 4 August Raviwar ko jari kiya jayega, jismein abhyarthi ko allot hui college ki sampoorn jankari di gayi hogi. Iski suchna turant prapt karne ke liye hamare WhatsApp channel ko join kar sakte hain.
BSTC Result 2024 Direct Link
Description | Link |
---|---|
Rajasthan BSTC College Allotment Result 2024 Link-1 | Result |
Rajasthan BSTC College Allotment Result 2024 Link-2 | Result |
Government Job Recruitment | Click here |
BSTC Official Website | BSTC |